Tuesday, May 25, 2010

Ghazal -page 289


Ye soch ke shikast pe hum muskra diye-
Nakamiyon ne jeet ke gur sikha diye-
Aane ki thi ummeed, na aane ka yakin-Hum ne kai chiragh jela ke bujha diye-
Ik khudkeshi ka sab ko bata-te phiro jewaaz-
Iss zindgi ne kitne misail badha diye-
Koshish yehi hai khatm na ho ye mezahamat-
Kitne megar hawaa se laden-ge diye?-
Kasya badmast sheher ki galiyon mein ghoomte-
Goya guzer gaye hain zamaane sadaa diye huye-
Tu aks ki talaash mein hum tak pahunch gaya-
Tujh ko to aik umr hui aina diye huye-
Derya tha dost raaz,ussi se tujhe baant-te--
Awraaq kuch bayaaz se phare , behaa diye-
Us ne baraya haath, mujhe thamna parha-
Honthon ne barh ke haath pe jugnu seja diye-
Tum se keha tha, kaanch ke hain--
Tum ne to mere khwab zamin pe gira diye
Wajihya shani

No comments: